.:: Jab Meri Jeb Me Paisa Hoga ::.


author : arpit goel
column : arpit dwara samarpit



Kabhi to koi din aisa hoga,
Jab meri jeb me paisa hoga,
Gaadi hogi Bangla hoga,
Jeevan ka Sapna Pura hoga,
Sau rupai Ghar se mile,
Par sau rupai se kya mile,
Sau rupai me Laakhon Sapney,
Liye Dil mai hum chal diye,
100 rupai ka yeh Note Adhura,
Kaise hoga Maheena pura,
100 rupai ka ye Note Anokha,
Jo na hosaka kabhi kisi ka,
100 rupai, mere 100 rupai,
Chai bhi peeni hai, Paan bhi khana hai,
Yaad me uski Sutta bhi jalana hai,
Pyar bhi nibhana hai to milne dur jana hai,
Paidal chal k Kiraya bachana hai,
Kabhi to koi Din Aisa hoga,
Jab Meri jeb me Paisa hoga,
Naukri Hogi to Note honge,
Vo din bhi kitne achhe honge,
Aisa Paisa hai ye kaisa, Bewafa jaisa,
Sapna jo dekha kabhi hoga pura,
kabhi to hoga..........
Kabhi to koi din,
kabhi to koi din aisa hoga
Kabhi to koi din,
kabhi to koi din achha hoga
Kabhi to koi din,
kabhi to koi din, PAISA hoga!
Previous
Next Post »