.:. Dost Tu Kaha Hai .:.



author : arpit goel
column : arpit dwara samarpit...



Ye asma kya keh raha hai,

In taro mein koi raz chhupa hai,
Ye suraj yu kyu jal raha hai,
Ye badal yu kyu ro raha hai ,
Aur chhutne ko ab bacha hai kya,
Aj bhi mere har ek zarre mein har kahi pe tera nisha hai,
Aur mujh par ab bhi ek karz tera baki bacha hai,
Ye ankho me kaisi nami hai,
In ansuo me kya likha hai,
Is dunya mein kya rakha hai,
Yaha kaun bhala apna raha hai,
Teri yaadein hi bas bachi hai aaj,
Aur ye asma mera gavah hai,
K maine bahut kuch khoya hai,
Par rokne se kisi k koi kab ruka hai,
Jaise mere andar tu yahi hai aur kahi pe jee raha hai,
Chale jane k bad hi to koi itna tumko yaad ata hai.
Kisi ko kya mai batau,
Khud ko hi kaise samjhau,
Tere sath jo bitayi vo yaadein,
Bas itna hi mujhko pata hai,
K bhai tera akela yaha hai,
Ye bata dost tu kaha hai aaj...
Previous
Next Post »